teri nigah ki hai pasban-e-mustaqbil
suna rahi hai hamein dastan-e-mustaqbil
teri hayat ki hai tarjuman-e-mustaqbil
liye hai kaif-o-nashat-e-jahan-e-mustaqbil
hai sar-buland kabhi se nishan-e-mustaqbil
zamin ko tu ne kiya aasman-e-mustaqbil
tujhi se ghairat-e-kashmir hai dayar-e-watan
tujhi se rashk-e-iram gulistan-e-mustaqbil
tere yaqin ne kiya hai wo inqilab-e-azim
ki ahd-e-haal pe ab hai guman-e-mustaqbil
chaman ke KHwab ki tabir hai junun tera
hue hain ghuncha-o-gul nukta-dan-e-mustaqbil
tere nafas-ba-nafas irtiqa zamane ka
tere qadam-ba-qadam hai zaman-e-mustaqbil
shab-e-hayat ki is be-panah zulmat mein
nuqush-e-pa hain tere kahkashan-e-mustaqbil
har ek nafas hai tera ham-rikab asr-e-rawan
har ek nazar hai teri karwan-e-mustaqbil
amin-e-raaz wahi hai watan ki qismat ka
tera 'jamal' ki hai raaz-dan-e-mustaqbil
Nazm
Tarjuman-e-mustaqbil
Masood Akhtar Jamal