kabhi tum jo aao
to main subh ke chhuTpuTe mein
tumhein sab se unchi imarat ki chhat se dikhaun
daraKHton ke ek sabz kambal mein lipTa hua shahr sara
kalas aur mehrab ke darmiyan uDne wale muqaddas kabutar
bahut dur chandi ke ek tar aisi nadi
is se aage jari kohsaron ka ek surmai silsila
kabhi tum jo aao
to main ek tapti hui dopahar mein
tumhein apne is aahani shahr mein le chalun
ek lohe ke jhule mein tum ko biThaun
tumhein sab se unchi imarat ki chhat se dikhaun
milon ke siyah rang nathnon se bahta dhuan
tang galiyon se risti hui naliyan
jo masamon ki surat
makanon ke jismon se gaDe pasine ko KHarij karen
khansti honkti shahrahen
hirasan ghasili, thaki Texiyan
purane grandiel peDon ke kaTne ka manzar
shikasta imaraat ki haDDiyon par
muDi chonch wale siyah-fam bulldozeron ke jhapaTne ka wahshi saman
kabhi tum jo aao
to main tum ko palkon par apni biThaun
tumhein apne sine ke andar ka manzar dikhaun
Nazm
Targhib
Wazir Agha