اردو हिंदी
Tarana | Shaahi Shayari
tarana

Nazm

Tarana

Faiz Ahmad Faiz

;

darbar-e-watan mein jab ek din sab jaane wale jaenge
kuchh apni saza ko pahunchenge, kuchh apni jaza le jaenge

ai KHak-nashino uTh baiTho wo waqt qarib aa pahuncha hai
jab taKHt girae jaenge jab taj uchhaale jaenge

ab TuT girengi zanjiren ab zindanon ki KHair nahin
jo dariya jhum ke uTThe hain tinkon se na Tale jaenge

kaTte bhi chalo, baDhte bhi chalo, bazu bhi bahut hain sar bhi bahut
chalte bhi chalo ki ab Dere manzil hi pe Dale jaenge

ai zulm ke mato lab kholo chup rahne walo chup kab tak
kuchh hashr to un se uTThega kuchh dur to nale jaenge