rashk-e-firdaus hai tera rangin chaman
tujh pe gul-bash karte hain koh-o-daman
tere mathe ki rekha hain gang-o-jaman
teri miTTi mein KHwabida hain fikr-o-fan
faKHr-e-yunan thi teri bazm-e-kuhan
mere hindustan mere pyare watan
dewtaon ki rishiyon ki ye sarzamin
zarra zarra teri KHak ka hai hasin
chumta hai qamar roz teri jabin
tere jalwe na hon kis liye dil-nashin
tere zarre mein KHurshid ki hai kiran
mere hindustan mere pyare watan
tere qadmon ki zinat hai godawari
hai himala ka parbat tera santari
hai haqiqat mein kashmir jannat teri
zarre zarre mein tere hai ek zindagi
desh ki shan hai taj ka bankpan
mere hindustan mere pyare watan
kis bala ki kashish tere KHaron mein hai
auj firdaus pinhan bahaaron mein hai
ek naya bankpan kohsaron mein hai
dilkashi kis qadar chand taron mein hai
hai zamane se aala teri anjuman
mere hindustan mere pyare watan
mera mandir hai tu mera kaba hai tu
mera malja hai tu mera mawa hai tu
meri uqba hai tu meri duniya hai tu
mera hai saz-e-dil mera naghma hai tu
meri har sans tere liye naghma-zan
mere hindustan mere pyare watan
sab ko ulfat ke markaz pe launga main
ekta ka diya phir jalaunga main
apne hathon watan ko sajaunga main
prem ke git har waqt gaunga main
is tarah ka banaunga main sangThan
mere hindustan mere pyare watan
KHun se apne dunga tujhe zindagi
tere phulon ko dunga nirali KHushi
zarre zarre ko baKHshunga main raushni
sab ko aisi sunaunga main ragni
shanti ki bahaunga gang-o-jaman
mere hindustan mere pyare watan
Nazm
Tarana-e-watan
kanval Dibaivi