wallah kya zaban hai urdu zaban hamari
fitrat ki tarjuman hai urdu zaban hamari
aaba ki dastan hai urdu zaban hamari
mazlum ki fughan hai urdu zaban hamari
hindu bhi bolte hain muslim bhi bolte hain
do jism ek jaan hai urdu zaban hamari
tamir ki hai is ki KHud ko miTa miTa kar
aslaf ka nishan hai urdu zaban hamari
miTha ek ek jumla pur-kaif har maqala
al-haq shakar-fishan hai urdu zaban hamari
alfaz chand tare ban kar chamak rahe hain
rifat mein aasman hai urdu zaban hamari
'ghaalib' 'nasim' 'kaifi' chakbast 'zauq' 'sarshaar'
har shaKHs ki zaban hai urdu zaban hamari
ek ek kitab is ki phula-phala chaman hai
gulzar-e-be-KHizan hai urdu zaban hamari
'munshi-prem' is par hote na kyun tasadduq
mani hui zaban hai urdu zaban hamari
har aadmi ke dil mein ghar kar rahi hai 'shatir'
mahbub mehrban hai urdu zaban hamari

Nazm
Tarana-e-urdu
Shatir Hakeemi