marhaba ai KHak-e-pak-e-kishwar-e-hindostan
yaadgar-e-ahd-e-mazi hai tu ai jaan-e-jahan
kaise kaise auliya guzre aur qutub-e-zaman
jin ke qadmon ne banaya hai tujhe jannat-nishan
raushni se tere phaila hai ujala har taraf
tera duniya mein raha hai bol-baala har taraf
kyun na kahiye tujh ko ek sarchashma-e-ab-e-baqa
hain ye aasar-e-qadima tere ganj-e-be-baha
roz o shab nairangiyan teri hain kya kya jaan-faza
kis qadar hai ruh-parwar ye teri aab-o-hawa
gardish-e-ayyam se go main phirun nazdik o dur
har jagah yaad-e-watan hai maya-e-aish-o-surur
ab to lazim hai ki hon bedar abna-e-watan
ho dilon mein jazba-e-millat-parasti josh-zan
ghalghala teri sataish ka ho ta-charKH-e-kuhan
aur tere jaan-nisaron ke ho lab par ye suKHan
miT nahin sakte kabhi tere usul-e-ittifaq
kyun na ho ai hind tujh ko daur-e-nau ka ishtiyaq
jabki jari ho zabanon par ye kalma subh o sham
naghma-ha-e-saz se baDh kar hai jo mojaz nizam
yani sulh-o-ashti ka den hum aapas mein payam
mushkilen aasan hon bigDe hue ban jaen kaam
runuma jis ki badaulat jalwa-e-ummid ho
dur zulmat ho dilon se aur ghar ghar id ho
din o aain hain juda sab ke magar ai KHak-e-hind
god mein tere rahen shir-o-shakar ai KHak-e-hind
teri KHidmat par jo bandhenge kamar ai KHak-e-hind
honge wo tere liye silk-e-guhar ai KHak-e-hind
zeb-o-zinat mein tu ai jaan-e-jahan mashhur hai
KHair o barkat se tu ai hindostan mamur hai
roz o shab qaumon ko hoti hai taraqqi ya zawal
kar saka lekin na tujh ko daur-e-gardun paemal
har zamane mein raha tera ajab jah-o-jalal
saya-e-rahmat ne daim tujh ko rakkha hai nihaal
gar nazar aae kabhi gham ki ghaTa chhai hui
Tal gai hai sar se tere har bala aai hui
iKHtilaf-e-din-o-millat ke ye jhagDe hon tamam
jo musibat ban gae hain aaj bahr-e-KHas-o-am
hai mubarak jo tujhe hasil hai amn o intizam
ba musalman allah allah ba barahman ram ram
KHaksari mein tu ab tak shohra-e-afaq hai
maKHzan-e-fazl-o-hunar hai madin-e-aKHlaq hai
Nazm
Tarana-e-qaumi
Safeer Kakorvi