chin-o-arab hamara hindostan hamara
muslim hain hum watan hai sara jahan hamara
tauhid ki amanat sinon mein hai hamare
aasan nahin miTana nam-o-nishan hamara
duniya ke but-kadon mein pahla wo ghar KHuda ka
hum is ke pasban hain wo pasban hamara
teghon ke sae mein hum pal kar jawan hue hain
KHanjar hilal ka hai qaumi nishan hamara
maghrib ki wadiyon mein gunji azan hamari
thamta na tha kisi se sail-e-rawan hamara
baatil se dabne wale ai aasman nahin hum
sau bar kar chuka hai tu imtihan hamara
ai gulistan-e-undulus wo din hain yaad tujh ko
tha teri Daliyon mein jab aashiyan hamara
ai mauj-e-dajla tu bhi pahchanti hai hum ko
ab tak hai tera dariya afsana-KHwan hamara
ai arz-e-pak teri hurmat pe kaT mare hum
hai KHun teri ragon mein ab tak rawan hamara
salar-e-karwan hai mir-e-hijaz apna
is nam se hai baqi aaram-e-jaan hamara
'iqbaal' ka tarana bang-e-dara hai goya
hota hai jada-paima phir karwan hamara
Nazm
Tarana-e-milli
Allama Iqbal