bahut ayyar the wo log
wo sara din KHuda ko yaad karte
masjidon mein jate
rote giDgiDate aur tasbihen paDha karte
zamana mo'taqid tha is qadar un ka
wo jab bahar nikalte
log un ke raste ki gard ko
apne amamon se haTate the
un ki KHatir KHwan par nemat sajate the
magar
jab raat aati aur andhere har dar o diwar par
KHeme apne nasab kar lete
dakuon ka bhes
luT lete aabru
mal o zar lal o guhar
aur phir wo subh-dam
sidq o safa ka dars dete
aur sabr-o-raza ki shahr ko talqin karte
aur phir masruf ho jate
ibaadat mein wo apni
unhen shaddad ki jannat
ilahi ki raza se chahiye thi
Nazm
Taqwa
Nomaan Shauque