minister mujh ko banwa do KHazana-jat ka mamun
hukumat hi tumhaari hai to Dar kis baat ka mamun
main kab kahta hun U-S ki safarat chahiye mujh ko
KHazane aur khane ki wazarat chahiye mujh ko
ye meri chiz hai ghairon ko hathiyane nahin dunga
main custam ka idara hath se jaane nahin dunga
zaraat mein bahu ko shoaba-e-baghat de do tum
aur apni sas ko bhi jail-KHana-jat de do tum
chachi ko media de do chacha ko railway de do
tumhaara jo muKHalif ho tum us ko jail-way de do
bahut hi kaiyan ho jo use cia de do
jo ho sab se nikamma tum use pia de do
wazir-e-ab ka mansab dikhane ke liye rakh lo
qalam-dan-e-zaraat samdhiyane ke liye rakh lo
minister-health abba ko bana do ab ye surat hai
bahut bimar hain un ko dawaon ki zarurat hai
jise pine ki aadat ho use pi kar bana dena
jo kuchh bhi ban na pae us ko speaker bana dena
haj o auqaf bhi koi wazarat mein wazarat hai
namazen hi namazen hain tahaarat hi tahaarat hai
ye ganga mulk mein ulTi hi bahni chahiye mamun
ye kabina hamare ghar mein rahni chahiye mamun
Nazm
Taqsim-e-wazarat
Khalid Irfan