'asrar' mubtala hue ek din azab mein
yani giraft-e-zahid-e-izzat-maab mein
taqwa o zohd faqr tasawwuf muKHizat
kahta tha dastan magar ek bab mein
KHauf-e-KHuda kuchh aisa biThaya ki al-aman
din mein zara sukun na rahat thi KHwab mein
wo iKHtilaj-e-qalb hua tha ki ek din
hazir hua hakim-e-matab ki janab mein
do-chaar bar nabzen TaTolin to dafatan
bole ki kuchh fasad hai shayad luab mein
lazim hai is maraz mein ifaqa ke waste
sandal ko ghis ke pijie fauran gulab mein
jab ye suna to hath ke tote hi uD gae
socha ki ab to maut ki aaya hun dab mein
sab ka chuka ke qarz karun fikr-e-aqibat
jo umr hai guzarun husul-e-sawab mein
aate hi is KHayal ke ghar-bar bech kar
saqi ke pas pahle gaya iztirab mein
saqi se jab talab kiya khata udhaar ka
zahid ka bhi hisab tha mere hisab mein
Nazm
Taqaddus-e-maab
Asrar jaamayee