phir raat ki tarik adaen hain musallat
phir subh ke hathon se hina chhuT rahi hai
jo haar tere waste gundha tha kisi ne
us haar ki ek ek laDi TuT rahi hai
jo saz kabhi waqif-e-asrar-e-junun tha
us saz ki rag rag se lahu phuT raha hai
kya hosh tujhe saqi-e-mai-KHana-e-duniya
wo kaun sa saghar hai jo ab TuT raha hai
taqdir ko rote hain siyah-baKHt sitare
aafaq pe zulmat ne phenki hain kamanden
khulta hi nahin ab dar-e-jaanan ye suna hai
diwane kahan jaen kahan raat guzaren
KHunrez haqaeq ki ghani chhanw mein ab tak
doshiza-e-afkar ki zulfen hain pareshan
ab tak hain wahi maqtal-o-zanjir-o-salasil
ab tak kaf-e-qatil mein wahi maut ke saman
ab tak na bujhe dast-e-taghayyur ki ada se
taswir-e-gulistan ko jhulaste hue shoale
ab tak na haTe apne siyahkar sitam se
tafriq ke farzand hawasnak luTere
is aalam-e-zulmat ki pur-haul faza mein
hum apni mohabbat ka lahu bech rahe hain
hum jin ko banate rahe gulshan ka nigahban
ab tak wo rag-e-gul se lahu khinch rahe hain
phir aalam-e-zulmat mein roti hai zuleKHa
kya jaaniye kis bhes mein KHurshid-e-sahar hai
phir apne muqaddar pe wahi raat ke pahre
phir jaanib-e-maqtal wahi qatil ki nazar hai
phir hum se taqaza hai teri shoKH-nazar ka
tariki-e-haalat ki buniyaad hila den
jin se na kabhi subh ki kirnon ka guzar ho
un tir-o-tarik gharondon ko gira den
Nazm
Taqaza
Fareed Ishrati