tanha baiTha hun kamre mein mazi ki taswir liye
ab to anjaane qadmon ki aahaT se ji Darta hai
meri chahat un ke wade dafn hue tahriron mein
jhuTe hain sare afsane kaun kisi par marta hai
sine ki har ek jalan se samjhauta kar ke main ne
in sari biti baaton ko tariki mein chhoD diya
shisha kah lo patthar kah lo kabhi bhi kah lun is dil ko
main ne is afsurda shai ko tanhai se joD diya
ab nazuk nazuk zehnon par fauladi hamla hoga
shishon ke paikar pighlenge pathrili tanhai mein
KHwabon ka sansar sunahra tah-KHanon mein bhaTkega
aql bichaari ja dubkegi soch ki gahri khai main
Nazm
Tanhai
Chandrabhan Khayal