اردو हिंदी
Tanhai | Shaahi Shayari
tanhai

Nazm

Tanhai

Abrarul Hasan

;

sham bojhal si
ghane peD se aangan mein utar aai hai

dafn hone ko hai be-nam sa din
jis se riste hain lahu rang shafaq ke dhabbe

phailte jate hain gahre baadal
jaise ehsas-e-gunah

zard murjhai akeli qindil
nauha unDelti sozish ki safir

jism diwar pe sayon mein baTa
TuTi ummid ki giryan taswir

aur ab raat ne karwaT badli
gahre sannaTe ki KHamosh karah

jaise phir zaKHm ke Tanke jage
lamha lamha ke Tapakne ki sada aati hai