aaj apne kamre mein
kis qadar akela hun
sham ka dhundhlaka hai
sochta hun gin Dalun
doston ke naKHun se
kitne zaKHm khae hain
un ki samt se dil par
kitne tir aae hain
chaunk chaunk uThta hun
khansiyon ki aahaT se
kash kuchh hawa chalti
khiDkiyon ke paT hilte
tak raha hai aaina
shishiyon ki saf chup hai
tu hi bol tanhai
waqt har taraf chup hai
khiDkiyon ki aaankhon se
aasman ko takta hun
aaj apne kamre mein
kis qadar akela hun
ghar ke samne ab bhi
ek rasta hoga
koi aa raha hoga
koi ja raha hoga
chheDti hi rahti hain
is KHayal-e-qurbat ko
sad-hazar aawazen
aati hain ayaadat ko
munh se KHun aata hai
kitni dur manzil hai
diq ki sar-phire naqid
kaun mera qatil hai
lafzon ki dukanon par
jazba-e-sadaqat kya
KHun-e-dil diya main ne
KHun-e-dil ki qimat kya
is pe kuchh buzurgon ki
mujrimana KHamoshi
laeq-e-nazara hai
rifaton ki pasti bhi
rahbaron se shikwa hai
shauq se KHafa hote
han magar taghaful mein
jurat-azma hote
aaj apne kamre mein
kis qadar akela hun
sirf dil dhaDakta hai
han main phir bhi zinda hun
kyunki zindagi meri
ahd ki alamat hai
inqalab-e-farda ki
ek baDi amanat hai
mere fan ki qindilen
hain dilon ki rahon par
bijliyan giraati hain
yas ki ghaTaon par
honTon par tabassum ke
kuchh diye jalati hain
rang o nur o naghma ke
kuchh payam lati hain
lafzon ke kaToron mein
ruh-e-asr bharti hain
aaj ke sawalon ka
hal talash karti hain
jab talak mahakta hai
gul-kada mere fan ka
ai yaqin-e-fasl-e-gul
fikr-e-jeb-o-daman kya

Nazm
Tanhai
Rahi Masoom Raza