اردو हिंदी
Tanhai | Shaahi Shayari
tanhai

Nazm

Tanhai

Faiz Ahmad Faiz

;

phir koi aaya dil-e-zar nahin koi nahin
rah-rau hoga kahin aur chala jaega

Dhal chuki raat bikharne laga taron ka ghubar
laDkhaDane lage aiwanon mein KHwabida charagh

so gai rasta tak tak ke har ek rahguzar
ajnabi KHak ne dhundla diye qadmon ke suragh

gul karo shamen baDha do mai o mina o ayagh
apne be-KHwab kiwaDon ko muqaffal kar lo

ab yahan koi nahin koi nahin aaega
Loneliness

Someone has come at long last—no, my poor heart, no one,
Just a passer-by, going somewhere else.