ye hota hai
koi mane na mane
ye to hota hai
kisi phaile hue lamhe kisi simTe hue din
ya akeli raat mein hota hai
sab ke sath hota hai
badan ke KHun ka loha KHayalon ke alao mein ubal kar
surKH neze ki ani ko sar ki jaanib phenkta hai
aur phir shahtir gir jata hai
jis par KHud farebi patli inTon ki chinai karti rahti thi
ye mera mal fitna hai
mere man bap saya hain
meri aulad fitna hai
bahut tanha hai insan
kimiya-gar ke pyale se gire qatre ke pare ki tarah tanha
safar karte hue taron ke jhurmuT mein khaDe
qutbi sitare ki tarah tanha
ye sab
hanste hue lab roti aankhen
hanjare ke jof se lahra ke nikli sari aawazen
ye gate nachte logon ke jhurmuT
ishwa o naz o ada se khinchte paikar
ye sari sair-bini KHud-farebi hai
ye sari yar-bashi aur sab sahra-nashini KHud-farebi hai
main apni man ke pahle dudh se dard-e-tah har jam tak
tanhai ke ek KHat pe chalta ja raha hun
main akela hun
main bazm dostan ke qahqahon ke gunj mein Dube
sarabi dasht ki larzish mein pani DhunDta hun
main akela hun
meri tanhai
man jai
jo mere sath paida ho ke mele mein kahin gum ho gai thi
meri bu ki DhunDti
mere lahu ko sunghti wapas chali aai hai
mere samne baiThi hai
mujh ko dekhti hai
us ka har tar-e-nazar aankhon se daKHil ho ke
meri khopaDi ki pusht se bahar nikalta hai
meri tanhai sanat-kar hai
wo meri shiryanon se lahu chhan kar neze banati hai
Nazm
Tanhai mujhe dekhti hai
Waheed Ahmad