apni azli aarzu ke mutabiq
main bilkul aazad ho chuki hun
har KHwahish se
lalach se
KHauf se
gham se
nafrat se
main chahun to rocking chair par
subh se sham kar sakti hun
ya raat bhar safed kapDe par
rang-birange phul kaDh sakti hun
ya jangal mein itni dur ja sakti hun
ki wapas na aa sakun
ya daere mein ghumte hue
apne aap ko thaka kar gira sakti hun
kabhi na uThne ke liye
aur aise mein
unhon ne use bhej diya hai
jaan bujh kar
meri tanhai mein KHalal Dalne ke liye
taki mil jae mujhe phir koi
nafrat karne ke liye
chhoTi si to hai wo
magar nahin Dalne deti mujhe
apni tanhai mein KHalal
mukammal taur par aazad
meri nafrat se bhi
meri asli waris
magar mujh se kahin ziyaada kaamyab
tanhai ke fan mein
Nazm
Tanhai ke fan mein kaamyab
Tanveer Anjum