jhankta hai teri aankhon se zamanon ka KHala
tere honTon pe musallat hai baDi der ki pyas
tere sine mein raha shor-e-bahaaran ka KHarosh
ab to sanson mein na garmi hai na aawaz na bas
tu ne ek umr se bazu bhi nahin phailae
phir bhi banhon ko hai sadiyon ki thakan ka ehsas
tere chehre pe sukun khel raha hai lekin
tere sine mein to tufan garajte honge
bazm-e-kaunain teri aankh mein viran sahi
tere KHwabon ke mahallat to samjhe honge
garche ab koi nahin koi nahin aaega
phir bhi aahaT pe tere kan to bajte honge
waqt hai nag tere jism ko Dasta hoga
yaKH kar tujh ko hawaen bhi bipharti hongi
sab tere sae ko aaseb samajhte honge
tujh se ham-joliyan katra ke guzarti hongi
kitni yaaden tere ashkon se ubharti hongi
zindagi har nae andaz ko apnati hai
ye fareb apne liye jal nae bunta hai
raqs karti hai tere honTon pe halki si hansi
aur ji ko koi ruh ki tarah dhunta hai
lakh pardon mein chhupa shor-e-aziyyat lekin
dil tere dil ke dhaDakne ki sada sunta hai
tera gham jagta hai dil ke nihan-KHanon mein
teri aawaz se sine mein fughan paida hai
teri aankhon ki udasi mujhe karti hai udas
teri tanhai ke ehsas se dil tanha hai
jagti to hai to thak jati hai aankhen meri
zaKHm jalte hain tere dard mujhe hota hai
Nazm
Tanhai ke baad
Shahzad Ahmad