ek shaKH se patta TuT gira
aur tu ne ThanDi aah bhari
ek shaKH pe khilta shagufa tha
tu us se bhi bezar si thi
tu apne KHayal ke kohre mein
lipTi hui gum-sum baiThi thi
tu pas thi aur main tanha tha
mere dil mein tera gham tha
tere dil mein jaane kis ka
hum donon pas the aur itne
anjaan hawa ka har jhonka
ek sath hi hum se kahta tha
ai rah-e-ishq ke gumraho
tum donon kitne tanha ho
lekin ye use malum na tha
hum ek the ek the hum donon
hum ek hi dukh ke mare the
donon ke dhaDakte sinon mein
sirf ek hi dard sulagta tha
lekin ye use malum na tha
kahta raha wo to yahi hum se
ai rah-e-ishq ke gumraho
tum donon kitne tanha ho
Nazm
Tanha
Zia Jalandhari