jab ek suraj ghurub hota hai
kam-nazar log ye samajhte hain
ab andhera zamin ki taqdir ho gaya hai
zamana zanjir ho gaya hai
unhen KHabar kya
ki mehr-o-mah-o-nujum sare
to raushni ke hain istiare
tulua ka dil-faroz manzar
ghurub ka dil-shikan nazara
azal se us raushni ka partaw hai
jo musalsal safar ke aalam mein
har makan la-makan ko apne jilau mein le kar
rawan-dawan hai
ye raat aur din
har ek zahir har ek baatin
har ek mumkin
usi tasalsul ka zer-o-bam hai
nigar-e-fitrat ka husn-e-ram hai
ufuq ufuq par yahi raqam hai
ki jo adam hai
wo zindagi ka naya janam hai
Nazm
TanasuKH
Himayat Ali Shayar