اردو हिंदी
Tan-e-nahif se amboh-e-jabr haar gaya | Shaahi Shayari
tan-e-nahif se amboh-e-jabr haar gaya

Nazm

Tan-e-nahif se amboh-e-jabr haar gaya

Zehra Nigaah

;

ab aansuon ke dhundlakon mein raushni dekho
hujum-e-marg se aawaz-e-zindagi ko suno

suno ki tishna-dahan malik-e-sabil hue
suno ki KHak-basar waris-e-fasil hue

rida-e-chaak ne dastar-e-shah ko tar kiya
tan-e-nahif se amboh-e-jabr haar gaya

suno ki hirs-o-hawas qahr-o-zahr ka rela
ghubar-o-KHar o KHash-o-KHak hi ne tham liya

siyahiyan hi muqaddar hon jin nigahon ka
KHuda bachae un aankhon ki shola-bari se

Daro ki zard-ruKHan nim-jaan o KHasta-tanan
hazar bar mare aur lakh bar jiye!

wo log jin ko mayassar na aae marham-e-waqt!
wo log talKHi-e-taqdir banT lete hain

wo hath jin pe ho nafrat ka zang sadiyon se
wo hath lohe ki diwar kaT dete hain