ghusl-KHane mein wo kahti hain hamein chini ki inTen hi pasand aati hain
chini ki inTon pe wo kahti hain chhinTa jo paDe to pal mein
ek ek bund bahut jald phisal jati hai
koi puchhe ki bhala bundon ke yun jald phisal jaane mein
kya faeda hai
jab zarurat hui ji chaha to chupke se gae aur naha kar lauTe
dhul-dhula kar yun chale aae ki jis tarah kisi jhil ke pani pe koi murghabi
ek dam Dupki lagati hai lagate hi ubhar aati hai
aur phir tairti jati hai zara rukti nahin
wo ye kahti hain magar chini ki inTon ka agar farsh ho diwaren hon
dil ye kahta hai ki har chiz ka nikhra hua rang
aankhon ko kitna bhala lagta hai
jaise barsat mein tham jate hain baadal jo baras kar to har ek phulwari
yun nazar aati hai
jaise jaana ho use apne kasi chahne wale se kahin milne ko jaana ho magar
abhi kuchh soch mein ho
koi puchhe ki bhala chini ki inTon ko kisi soch se kya nisbat hai
chini ki inTen to be-jaan hain phulwari mein har phul kali har patta
zist ke nur se lahraata hai
phul murjhae kali khilti hai
aur har patta nae phul ke gun gata hai
chini ki inTen koi git nahin ga saktin
chini ki inTen to KHamosh raha karti hain
aisi KHamoshi se ukta ke nahane wala
kuchh is andaz se ek tan lagata hai ki luqman hi yaad aata hai
jab main ye kahta hun wo puchhti hain
koi puchhe to bhala tan ko luqman se kiya nisbat hai
aur main kahta hun luqman ko luqman ko ya tan ko rahne do chalo
aur koi baat karen
aur yun leTe hi rahte hain kisi ke dil mein
dhyan aata hi nahin
ghusl-KHane mein qadam rakkhen naha kar soen
leTe leTe yunhi nind aati hai so jate hain
Nazm
Tan-asani
Meeraji