اردو हिंदी
Tamsil | Shaahi Shayari
tamsil

Nazm

Tamsil

Anwar Nadim

;

jab ye barish zara bhi thamti hai
dur bijli chamakne lagti hai,

phir qayamat ka shor hota hai
abr phir yun barasne lagta hai

jaise nazron ke samne aksar
husn ki bijliyan chamakti hain

ishq jab zindagi ka talib ho
husn ban kar azab aa jae

pattharon ka mizaj le aae
saKHtiyan mang le chaTanon se

jazba-e-rahm ko fana kar de
ishq majbur ho ke aaKHir main,

apni aankhon se KHun barsa de,