اردو हिंदी
Tamanna ka dusra qadam | Shaahi Shayari
tamanna ka dusra qadam

Nazm

Tamanna ka dusra qadam

Daniyal Tareer

;

waqt aur na-waqt ke ma-bain
kitna fasla

kitna KHala
kitni ghaneri KHamushi hai

jaanne ki koshishon mein
aankh ki aur dil ki ujli aankh ki

binaiyan kam paD gai hain
sochta hun

soch ka koi parinda bhej kar
is hadd-e-la-had ka

koi andaza kar lun
KHud se kahta hun

tujhe malum hai
ye kaam sochon ke parindon ka nahin

taKHil ka hai
jo parinda ghaib ki is jhil ka hai

jis mein sab na-didgan ke
aks bante raqs karte hain

inhi na-didgan mein
waqt aur na-waqt ke ma-bain ka

wo fasla aur wo KHala aur wo ghaneri KHamushi
bhi ho to kya malum

bahte aks un ke tair-e-taKHil ke shahpar se lipTe sath aa jaen
ye gahre bhed mere hath aa jaen