main apni ruh-e-azab-gar se ye kah raha tha
ki ruh ki pyas aur badan ki talab mein
ek rabt-e-bahami hai
na ruh sarshaar hai na tabindagi-e-tan hai
ye reza reza jo rizq pahuncha hai tar-o-pu ka
sarishta-e-na-tawan hai arz-e-hunar ke daman-e-be-rafu ka
ye luqma-e-KHushk-o-halq-farsa
kabhi to lazzat-e-shiar-e-kaam-o-dahan bhi hota
fasil-e-tan mawara-e-pas-KHurdgi bhi hoti
main dast-e-kotah-gir daulat se puchhta hun
ki umr bhar tu ne kaghzi pairahan siye kyun
zaban-e-aluda-kar ko si ke baiTh jata
tu saKHt-kosh azab-e-sud-o-ziyan na sahti
ye lamhe aasar-e-baqiya hain
ki jin mein sansen bhi ghaT rahi hain
talab hai daryuza-gar ki us ne
shikast dil ki panah DhunDi
qalam chala hai to raushnai ke ashk Tapka
na lauh-e-dil par
harif ko apne sath maqtal ki dhup mein la
sawad-e-mahrumi-e-bashar to nahin
guzar-gah-e-na-muradi
pahaD kaTe hain juraton ne
KHaraba-e-zehn par tamazat ghurur ki hai
saman-bari saya-gustari hai
usi ko zahrab-e-agahi de
usi se tamir aashiyan kar
Nazm
Talab hai daryuza-gar
Qamar Hashmi