na jaane kyun ye lag raha hai
jaise kho gaya hai kuchh
kabhi ye lag raha hai
jaise hum ne pa liya hai kuchh
wo kya hai jo ki kho gaya
wo kya tha jis ko pa liya
ye baat mushtamil hai
ek arsa-e-qaleel par
qalandar ek ru-numa
hua tha ek sabil par
wo pahle ilm-o-fan ki puri
pyas ko jagata tha
sawal puchhta tha aur
tishnagi bujhata tha
wo kahta tha ki KHwab dekho
jagti in aankhon se
wo haarne ke qisse ko hi
paDhta tha paDhata tha
wo kahta tha ki jit ke ye waqiye
payam hi to dete hain
magar shikast jaane kitne
raston ke kuchh
alag alag nishan deti hai
samundaron ki god mein
wo khel kar jawan hua
aur apne ilm-o-fan se wo
jahan par hi chha gaya
har ek mulk jaane kab se
us ka muntazir raha
magar wo hind ka suput
hind mein raha kya
wo apne mulk ke tamam
bachchon se ye kahta tha
ki kala rang dagh
ho bhi sakta hai kasi jagah
magar ye rang fann-e-justujoo liye
charaghan hai kasi jagah
na jaane aise kitne formule
wo jahan ko hai de gaya
wo ilm ka naqib tha
wo jehl ki salib tha
wo fahm ka rafiq tha
wo muKHlis-o-shafeeq tha
wo infiradiyat ka ek jaana mana nam tha
wo injizabiyat ka ek KHushnuma payam tha
magar wo shaKHs aaj
hum ko chhoD kar chala gaya
hai saneha ye mulk ke liye
bahut baDa magar
ghalat na hoga ai 'shifa'
main baat ye kahun agar
ki main to gum hon bas
kisi ne is ek fikr mein
kise talash kar ke laun
ab main apne mulk se
jise na apne ohde aur rutbe ka ghurur ho
jise na apne ilm ka hunar ka kuchh surur ho
jo aae to KHazana-e-ulum le ke aae aur
jo jae to muhabbat-e-awam le ke jae bas
bhaTak raha hai zehn-o-dil
talash-e-na-guzir ko
aur aankh DhunDhti hai bas
ek aise be-nazir ko
Nazm
Talash
Shifa Kajgavnwi