rasta ye jaana-pahchana hai kabhi kabhi ye apna hota tha
barson baras tak in path par pyar hamara sanjota tha
sanjh sawere an-dekhi barkha se nam rahti thi KHak
sham ka ghuncha subh ka suraj, shabnam se munh dhota tha
KHak se tere badan ki KHushbu Dali Dali uDti thi
dhyan ka bhaunra phul ki bikhri pankhuDiyon ko pirota tha
soch ki uThti girti lahren tujh ko kahin se le aatin
sahil-e-nur pe tera saya baiTha panw bhigota tha
ek mandi si lahr achanak teri god mein ja girti
dharti se aakash tak ek aaghosh ka aalam hota tha
soti raat ka jadu chalta khinchte hue daman ki oT
chand ka jauban chhalka paDta sagar pyasa hota tha
gesu tere bikhre jate pahlu tere khulte jate
shauq ki aankhen lori detin tera hijab na sota tha
sabza sabza nind bichhi thi, chand ki si raftar se hum
haule haule panw uThate KHwab ka aalam hota tha
jaane kaun se moD pe tera hath achanak chhuT gaya
gyan ki is baurai pawan mein dhyan bhi tera TuT gaya
apni wo dharti sare jahan mein phir na kahin pahchan mili
is miTTi ki KHushbu pane bij ashkon ke bota tha
chehra chehra wahshat Thahri aankhen tujh ko bhul gain
murat murat chup si lagi thi, jaane mujhe kya hota tha
chaDhte chand ki aahaT sun kar nagri nagri mera charagh
raat ki jhukti badli ke daman ko pakaD kar rota tha
raste raste bikhri hui thi mere charagh ki tanhai
ek mandi si lau mein kis kis ki parchhain samota tha
rasta chalte log bhi pagal ummidon ko samjhate
kitna hi aaina dikhate tera aks na hota tha
dal ke dal baadal jab tera pursa de ke chale jate
dur kahin ek abr ka TukDa jaise mujh ko rota tha
hosh ke bujhte diye mein ab tak us ka aansu jalta hai
ab tak us ki khoj mein pagla des bides nikalta hai
Nazm
Talash
Shahab Jafri