fahisha aurto
kya koi
tum mein aisa nahin
jo mujhe
is tarah chhal sake
main nashat-e-guman ke surur-e-ajab-jawedan ko liye
narm aaghosh se
saKHt aaghosh tak
ek bar-haq safar karun
fahisha aurto
wo qarib-e-musalsal ki daulat kahan se mile
kya koi
tum mein aisa nahin
mujh se jo
jhuT ko sungh lene ki KHu chhin le
justuju chhin le
Nazm
Talash fareb-e-mutlaq ki
Mohammad Aazam