ek mehrab phir dusri phir kai
be-karan tirgi mein huwaida huin
koi tha
koi hai
koi hoga kahin
saaten tin ek sath paida huin
ruh ke hath mere badan ka gala
ghunT kar thak gae
hath mere badan ke bhi uTThe magar
daman-e-KHwahish-e-raegan tak gae
ungliyan TuT kar kirchiyan ho gain
muTThiyan band hone se mujh par khula
haDDiyan kanch ki mere hathon mein thin
ab mere jism mein meri hi kirchiyan
DhunDhti phir rahi hain mujhe aur main
apne TuTe hue hath thame hue
KHauf ki is gupha mein chhupa hun jahan
ek mehrab phir dusri phir kai
be-karan tirgi mein huwaida huin
koi tha
koi hai
koi hoga kahin
saaten tin ek sath paida huin
Nazm
Talash
Zuhoor Nazar