yun lagta hai
pichhle kuchh salon se
shab ki siyahi gahri ho gai hai
shayad ek lamhe ko dusra lamha bhi nahin sujhta
zi-fahm danish-war
apne ehsas pe lage zaKHmon ko
mah-o-anjum banae
kisi jadid suraj ke tulua hone ke manzar
masum jiyale
apne zaKHmon ko sambhaale
nae war se bachne ki talash mein
koi kisi ke dosti-bhare safed ghar mein be-fikr
koi kisi ke duaon ka muntazir
Nazm
Talash
Afroz Alam