wo tirgi bhi ajib thi
chandni ki ThanDi gudaz chadar se sara jangal lipaT raha tha
gulon ke sad-rang
dhundle dhundle se
jaise ek sim-tan ke chehre ke shoKH ghaze pe
aansuon ka ghubar ho
peD, muntazir
apni narm shaKHon ke hath phailae
aur kabhi koi shaKH chaTki
to sae nikle
muluk phulon ko chum kar
chandni ki chadar pe nachte the
kahan se aai
wo ek kiran
jis ne phailti tirgi ki gambhirta ko chira
to mere bhitar mein ek kirnon ka silsila yun utar raha tha
ki koh-e-atish-fashan se lawa nasheb ko bah raha ho
mere lahu se soj ubal paDe
jin ki tez hiddat se tirgi ke muhib yaKH-basta sang pighle
to nur ke raston ka ek jal khul gaya
magar abhi to muhib kale pahaD kuchh aur bhi nazar aa rahe hain
aur main safar ki hiddat se jal raha hun
zara main ab chandni ki ThanDi gudaz-chadar mein
dam to le lun
kahin ubalti hui ye aatish
mujhe jala kar bhasm na kar de
Nazm
Takmil
Ejaz Farooqi