imarat aur shaukat aur sarmae ki taswiren
ye aiwanat sab hain haal hi ki taza tamiren
idhar kuchh fasle par chand ghar the kasht-karon ke
jahan ab kar-KHane ban gae sarmaya-daron ke
maweshi ho gae nilam kyun ye koi kya jaane
kachehri jaane sahukar jaane ya KHuda jaane
zamin-daron ko ja kar dekh le jo bhi koi chahe
nae bhaTTon mein inTen thapte phirte hain halwahe
yahan apne purane ganw ka ab kya raha baqi
yahi takiya yahi ek main yahi ek jhonpaDa baqi
azimushshan basti hai ye nau-abaad virana
yahan hum ajnabi donon hain main aur mera kashana
Nazm
Takiya
Hafeez Jalandhari