bahut dinon se udas nazron ki rahguzar thi
paDi thin soti ufuq ki rahen
ki dil ki mahfil mein
naghma o nala o nawa ki
ajab si shorish nahin hui thi
nazar uThai to dur dhundli fazaon mein
raushni ka ek daera sa dekha
laraz ke Thahra jo dil
taKHayyul ne apne shahpar faza mein khole
ki jaise
parwaz ka sahifa khule
to nile gagan ke asrar jag uTThen
ki jaise
mah o nujum ki mamlikat ka rasta koi bata de
faza se parde koi uTha de
ki jaise
ek be-kanar sahra mein
mauj-e-reg-e-rawan nuqush-e-nawa bana de
ki jaise taer-e-hawa ki lahron pe, jumbish-e-par se
dastan-e-wajud likh den
ki jaise
tarik shab ke daman mein
Dast-e-qudrat, charagh-e-dil yak-ba-yak jala de
Nazm
TaKHliq sher
Sajida Zaidi