zarron mein jumbish thi koi chhai thi faza par mad-hoshi
ek nind thi har shai par tari qudrat bhi thi mahw-e-KHamoshi
raushan na sitare the upar viran falak ki basti thi
lala na zamin par khilta tha be-rang nigar-e-hasti thi
aahen na labon par aati thin muztar na tanon mein jaanen thin
dil mein na umangen uThti thin jazbaat ki band zabanen thin
tha husn taKHayyul mein ab tak KHilat na mila tha surat ka
betab nigahen thin sari wa dar na hua tha jannat ka
2
jab roz-e-azal ki subh hui ek nur ka dariya lahraya
fitrat ke uThe parde sare bedar jahan-e-raaz hua
sahil ka sukun dhaare ki taDap be-tabiyan mauj-e-tufan ki
amrit-bhari shabnam ke qatre ranginiyan bagh-e-rizwan ki
phulon ki mahak kundan ki damak bijli ke shararon ki chamken
sham aur sahar ke hasin jalwe taron ke tabassum ki jhalken
KHallaq-e-zaman ne un sab ka sat khinch ke miTTi par chhiDka
tabqat-e-zamin mein hui halchal ek phul kanwal ka phabk uTha
phir batn se un ke ek dewi paida hui bazm-e-imkan mein
rakkha gaya nam aurat us ka KHushiyan huin bagh-e-rizwan mein
Nazm
TaKHliq-e-aurat
Ameer Aurangabadi