dosto aaj be-samt chalte hain log
tum bhi is bhiD mein kho ke rah jaoge
aao mazi ki kholen kitab-e-amal
ek nazar sarsari hi sahi Dal kar
dekh len apne sab karnamon ka hashr
tajziya apni nakaamiyon ka karen
apni mahrumiyon par hansen KHub ji kho kar
aur sochen ki kyun
shahr ke shor mein gum karahon ka nauha hua
hum pe kyun be-dili chha gai
rengti zindagi ki baqa ke liye
hum ne kyun uDte lamhon ke par kaT kar rakh diye
ek jibillat ki taskin ke waste
kar ke samjhauta apne hi dushman ke sath
walwale bech Dale harifon ke hath
Nazm
Tajziya
Rashid Aazar