اردو हिंदी
Tajrabe ki sarhad par | Shaahi Shayari
tajrabe ki sarhad par

Nazm

Tajrabe ki sarhad par

Mah Talat Zahidi

;

rag Dub jate hain
saz TuT jate hain

aasman ke goshon mein
an-ginat sitaron ke

dip bujhne lagte hain
din ki dhup mein akasr

wasl-e-mumkina ke sab ahd chhoD dete hain
baaton mein khanak napaid

aur chamak nigahon mein
mand paDti jati hai

reshmin lahje bhi
khurdure se lagte hain

sohbaton mein pahli si
be-KHudi nahin rahti

chehra-e-rifaqat par zardi
chhane lagti hai

jazb-e-ishq ko thak kar
nind aane lagti hai

tajrabe ki sarhad par aa ke bhed khulta hai
koi bhi talluq ho, ek sa nahin rahta