اردو हिंदी
Tajdid | Shaahi Shayari
tajdid

Nazm

Tajdid

Amjad Islam Amjad

;

ab mere shane se lag kar kis liye roti ho tum
yaad hai tum ne kaha tha

jab nigahon mein chamak ho
lafz jazbon ke asar se kanpte hon aur tanaffus

is tarah uljhen ki jismon ki thakan KHushbu bane
to wo ghaDi ahd-e-wafa ki saat-e-nayab hai

wo jo chupke se bichhaD jate hain lamhe hain masafat
jin ki KHatir panw par pahre biThati hai

nigahen dhund ke pardon mein un ko DhunDti hain
aur samaat un ki miThi narm aahaT ke liye

daman bichhati hai
aur wo lamha bhi tum ko yaad hoga

jab hawaen sard thin aur sham ke maile kafan par hath rakh kar
tum ne lafzon aur talluq ke nae mani batae the, kaha tha

har ghaDi apni jagah par saat-e-nayab hai
hasil-e-umr-e-gurezan ek bhi lamha nahin

lafz dhoka hain ki un ka kaam iblagh-e-maani ke alawa kuchh nahin
waqt mani hai jo har lahza nae chehre badalta hai

jaane wala waqt saya hai
ki jab tak jism hai ye aadmi ke sath chalta hai

yaad misl-e-nutq pagal hai ki is ke lafz mani se tahi hain
ye jise tum gham aziyyat dard aansu

dukh waghaira kah rahe ho
ek lamhati tassur hai tumhaara wahm hai

tum ko mera mashwara hai, bhul jao tum se ab tak
jo bhi kuchh main ne kaha hai

ab mere shane se lag kar kis liye roti ho tum!