tum ek hi libas nahin pahan sakte
aur wo hai safar
27-sal se is arsa-e-be-zamini par
main safar hi to pahanta aaya hun
ek bar ek qasbe mein
ek nannhi si bachchi ne mujh se
meri udasi puchhi thi
meri udasi mere andar thi
aur bachchi ka matlab bahar tha
bahar ki quwwat ne meri chhipi hui roTiyan chhin lin
tum ne kahin se sun liya
ki jo miTTi gosht se chipak jati hai
us se ek aTal makan banta hai
so tum aTal makan mein aTal ban gae
tum ne mujh se meri shahriyat chhin li
kyunki
main un logon mein se nahin tha
jinhon ne mahz auraton ke nam
sunghne mein kai baras guzar diye
phir shayad unhen koi chor-darwaza mil gaya
kuchh log jo jail se chhuT ke aae the
unhon ne apne gharon ki salaKHon ko
nile rang se rang diya
kyunki nile rang ki nind
aaram aur wahm ke darmiyan
shayad ek Tank hoti hai
main ne kabhi tonic nahin piya
mere pas to kuchh jama hui roTiyan thin
unhin mein kahin khane baiTha tha
ki shahron ke chaurahon ki samt
jati hui dhup bahut tez hogi
ek mulk ka dhuan
dusre mulk ki faslon mein sarayat kar gaya
tum nahin jaante ki ye sab kuchh kyun hua
tum apne makan mein aTal rahe
main aage chal diya
mujhe chor-darwaza nahin mila
Nazm
Tajdid-3
Ahmad Hamesh