bahut dur se ek aawaz aai
main, ek ghuncha-e-na-shagufta hun koi mujhe gudgudae
main taKHliq ka naghma-e-jaan-faza hunØ mujhe koi gae
main insan ki manzil-e-arzu hun mujhe koi pae
bahut dur se ek aawaz aai
main hathon mein le kar tajassus ki mishal
bahut dur pahuncha sitaron se aage
meri rahguzar kahkashan ban ke chamki
mare sath aai ufuq ke kinare
mere naqsh-e-pa ban gae chand suraj
bhaDakte rahe aarzu ke sharare
wo aawaz to aa rahi hai musalsal
magar arsh ki rifaton se utar kar
main farsh-e-yaqin par khaDa sochta hun
har ek jada-e-rang-o-bu se guzar kar
meri justuju intiha to nahin hai
abhi aur nikhrenge rangin nazare
ye be-nur zarre banenge sitare
sitare banenge abhi mah-pare
ye aawaz jadu jagati rahegi
ye manzil yunhi git gati rahegi
nae aadmi ko nae karwan ko
payam-e-tajassus sunati rahegi
Nazm
Tajassus
Rifat Sarosh