patthar ke kamre mein us ne
miTTi dhat namak ko
atom
aur is se bhi chhoTe zarron mein banTa
ek unchi mez pe leTe waqt ko chloroform sungha kar
us ke ek ek uzw ko kaTa
sadiyon
barson aur mahinon
ek ek pal mein
ek tikone chimTe se
ek slide par meri kuchh sansen rakkhin
shishe ki nalki se
meri gardan ko hilaya
do aankhon mein
mazi haal aur mustaqbil ke KHwab jagae
ek tezab se mujh ko andha kar ke
ek test-tube zara sa TeDha kar ke
Nazm
Tajarba-gah
Mushaf Iqbal Tausifi