اردو हिंदी
Tahrir | Shaahi Shayari
tahrir

Nazm

Tahrir

Balraj Komal

;

main ne faraaz-e-jism par
mehrab likh diya

jab raat Dhal gai
main ne fasil-e-shahr par

mahtab likh diya
main raat-bhar

barahna jism par likha gaya
main ne sunahre jism mein

boi thi dastan
main ne siyah raat ko

saunpa tha mahtab
wo raat

mere dil pe iztirab likh gai
wo raat

dur tak
sunahri dhup surKH phul

sail-e-aftab likh gai