اردو हिंदी
Tahrir ki fursat | Shaahi Shayari
tahrir ki fursat

Nazm

Tahrir ki fursat

Farhat Ehsas

;

Dakiya sare jahan ki KHabren
le kar aata hai magar mere liye

kitni aawazen mere sath chala karti hain
kabhi man bap ke rone ki sada

kabhi ahbab ke phaTte hue juton ki dukhan
kabhi duniya ke chaTaKHte hue aaza ki pukar

subh-ta-sham wahi ek shab ka aahang
dar o diwar pe uDti hui rahon ka ghubar

rakh-dani mein wahi saikaDon sochon ka dhuan
chae ki pyaliyan phenke hue lamhat ko lipTae hue

shelf mein dubke hue zehn ke na-poKHta-nuqush
mez par nisf KHaton ka ambar

kaun jaane unhen tahrir ki fursat kab ho?