ba-mushkil ek hairani ko
aankhon se nikala tha
ki phir ek aur hairani
ye basti kaisi basti hai jahan par
mera har ek KHwab
hairani ki ek chadar ko oDh
so raha hai
aur tahayyur ki qaba pahne hue hain
ashk sare
aur yahan tak ki hamare ishq ne bhi
hijr ke ek sang par jo lafz likkha hai
wo hairat hai
wahi ek lafz jo ab mere dil ke
aaine se barsar-e-paikar hai
aur kaun jaane
aaina baqi rahega
ya hamare ishq ki hairat
Nazm
Tahayyur ishq
Humaira Rahat