aqalliyat kahin ki ho tah-e-KHanjar hi rahti hai
halakat-KHez hathon ke hazaron jabr sahti hai
KHas-o-KHashak ki manind sail-e-gham mein bahti hai
na koi KHwab aankhon mein na dil mein aasra koi
na ju-e-KHun se bachne ka nazar mein rasta koi
na mustaqbil ki aawazen na manzil ki sada koi
KHud apni hi faza mein KHauf ka ehsas har lamha
adam-mahfuziyat ka dur tak ghamnak sannaTa
suhani ho ke bhi be-raunaq-o-be-kaif si duniya
haqarat ki nazar nafrat ki chingari taaqub mein
musibat aage aage zillat-o-KHwari taaqub mein
jidhar jae wahin tufan-e-be-zari taaqub mein
zaban matub tahzib-o-saqafat dar ki zad mein
ghar aangan izzat-o-namus kul talwar ki zad mein
labon ki muskurahaT aatishin yalghaar ki zad mein
aqalliyat jahan bhi hai yahi us ka muqaddar hai
ye zaKHmi be-aman maKHluq har su zer-e-KHanjar hai
bata ai dil ye gham ki raat hai ya roz-e-mahshar hai
Nazm
Tah-e-KHanjar
Owais Ahmad Dauran