tadfin
chaar taraf sannaTe ki diwaren hain
aur markaz mein ek taza taza qabr khudi hai
koi janaza aane wala hai
kuchh aur nahin to aaj shahadat ka kalma sunne ko milega
kanon ke ek sadi purane qufl khulenge
aaj meri qallash samaat ko aawaz ki daulat arzani hogi
diwaron ke sae mein ek bahut baDa amboh numayan hota hai
jo aahista aahista qabr ki jaanib aata hai
in logon ke qadmon ki koi chap nahin hai
lab hilte hain lekin harf sada banne se pahle mar jate hain
aankhon se aansu jari hain
lekin aansu to waise bhi
dil o dimagh ke sannaTon ki timsalen hote hain
mayyat qabr mein utri hai
aur hadd-e-nazar tak log bilakte hue dikhai dete hain
aur sirf dikhai dete hain
aur kan dharo to sannaTe hi sunai dete hain
jab qabr mukammal ho jati hai
ek buDha jo waqt nazar aata hai apne huliye se
hathon mein uThae katba qabr pe jhukta hai
jab uThta hai to katbe ka har harf garajne lagta hai
ye lauh-e-mazar aawaz ki hai!
Nazm
Tadfin
Ahmad Nadeem Qasmi