اردو हिंदी
Tabdili | Shaahi Shayari
tabdili

Nazm

Tabdili

Zubair Rizvi

;

subh-dam jab bhi dekha hai main ne kabhi
nanhe bachchon ko school jate hue

raqs karte hue gungunate hue
apne baston ko gardan mein Dale hue

ungliyan ek ki ek pakDe hue
subh-dam jab bhi dekha hai main ne unhen

mamta un ki rahon mein saya kare
un ke qadmon mein KHushbu bichhaya kare

dewta un ke hathon ko chuma karen
man hi man un ki baaton pe jhuma karen

subh-dam jab bhi dekha hai main ne unhen
mera ji chahta hai ki main dauD kar

ek nanhe ki ungli pakaD kar kahun
mujh ko bhi apne school lete chalo

ta-ki ye tishna-e-arzu-e-zindagi
phir se aaghaz-e-shauq-e-safar kar sake