mera beTa
bulughat ki haden chhune laga hai
use nazuk ranga-rang titliyan KHush aa rahi hain
wo aksar gungunata hai dhanak naghme
ab us ki putliyon mein sabz faslen lahlahati hain
wo sota hai to KHwabon mein kahin gul-gasht karta hai
ab us ki muskurahaT mein chubhan hai
aur us ke hath gustaKHi ke juya ho chale hain
wo kanon par yaqin karne ko raazi hi nahin hai
use asbab ki sachchaiyon par shak guzarta hai
wo ab har chiz ko chhu kar parakhna chahta hai
Nazm
Tabdili
Rashid Jamaal Farooqi