is bhare shahr mein koi aisa nahin
jo mujhe rah chalte ko pahchan le
aur aawaz de o be o sar-phire
donon ek dusre se lipaT kar wahin
gird-o-pesh aur mahaul ko bhul kar
galiyan den hansen hatha-pai karen
pas ke peD ki chhanw mein baiTh kar
ghanTon ek dusre ki sunen aur kahen
aur is nek ruhon ke bazar mein
meri ye qimti be-baha zindagi
ek din ke liye apna ruKH moD le
Nazm
Tabdili
Akhtar-ul-Iman