اردو हिंदी
Tab hazaron andheron se | Shaahi Shayari
tab hazaron andheron se

Nazm

Tab hazaron andheron se

Ejaz Rahi

;

ek raushni ki kiran phuT kar
sard viran kamre ke tarik diwar-o-dar se ulajhne lagi

aur kamre mein phirte hue
sainkaDon zard zarre

bilbilate sisakte hue
meri jaanib baDhe

main ne apni shahadat ki ungli uThai
zard zarron se goya hua

dosto
aao baDhte chalen

raushni ki tarah raushni ki taraf
raushni jo hamari tamannaon ki pyas hai

raushni jo hamari tamannaon ki aas hai
zard zarre mere sath baDhne lage

raushni ki taraf raushni ki taraf
chand zarre ki jin ki ragon mein

siyah raat ki zulmaten bas chuki thin
meri baaton pe hansne lage

aur hanste rahe
tab hazaron andheron ke sine mein

phaila hua ek tilism
raushni ki tab-o-tab se

TuTne ke liye
aur aage baDha