اردو हिंदी
TariKH Taswe bahaegi | Shaahi Shayari
tariKH Taswe bahaegi

Nazm

TariKH Taswe bahaegi

Naseer Ahmad Nasir

;

tum sar-e-baam aa kar
uThaya hua hath apna hila kar

chamakdar aankhon se apni
mujhe ruKHsati ka agar izn detin

to main dushmanon ke liye
maut ban kar nikalta

tumhaare faqat ek ishaare se
kushton ke pushte lagata chala jata

tum dekhtin kis tarah main
zamane ki sarhad zara der mein par karta

har ek samt se war karta
mohabbat ki tariKH tabdil karta

nai razm-e-botiqa tashkil deta
main lashkar ka sab se bahadur sipahi tha

mere liye ek aansu bahut tha
magar tum ne ashkon ki barsat kar ke

mujhe is qadar gham-zada kar diya hai
ki lagta hai ye marka haar jaunga main

lauT kar ab na aaunga main!